Domain Kya Hai | Domain Name Kya Hota Hai | What is Domain in Hindi

Domain Kya Hai or Domain Name Kya Hota Hai | What is Domain in Hindi | Subdomain | Types of Domain

Domain Kya Hai | Domain Name Kya Hota Hai | What is Domain in Hindi

Welcome friends RDN Technical site. iss post me ham baat karenge domain ke baare me domain se related questions ko ham samjege. Domain name kya hai aur kaise kaam karta hai aur kyon to chalye samjte hai.

● IP Address – Internet protocol address
● (DNS) Domain Name System

Domain Kya Hai | Domain Name Kya Hota Hai | What is Domain

Domain Kyon kehte hai ?. Jab ham koi website open karte hai to uska ek URL hota hai jaise Facebook.com ya Youtube.com Aur jaise hamari site FilmyHost.com ase hi har site ka alag – alag address hota hai ussi ko Domain kahte hai.

Jaise hamare Ghar ka ek address hota hai aur wo address ham kisi ko dete hai to wo uss address ki help se hamare Ghar par Aa sakta hai, Ya hame kisi jagah jaana hota hai to uske address ki help se ham waha jaa sakte hai, Usi tarah se har website ka ek alag address hota hai.

Kyonki har site ka alag address hota hai isliye usse Domain kahte hai, To friends ab aapko pata chal hi gaya hoga ki Domain Kya Hai ? aur Website name ko domain kahte hai.

Domain Name Kyon Jaruri Hai ?

Friends Website ko banaya jaate hai host server computer pe joki internet se connect rehta hai aur har computer ki pehchaan ke liye uska ek IP Address hota hai IP Address number me hota hai jaise 102.60.263.138 iss tarah.

IP Address Ko Hi Domains Ki Jagah Me Use Kare To Kya Problem Ho Sakti Hai ?.

IP Address number me hota hai iss liye usko yaad rakhna aasan nahi hota, Aur site ka naam 102.60.263.138 iss tarah hoto wo hamare liye muskil hoga.

Ek Hosting – host server computer me multiple site create kar sakte hai to yaha domains jaruri ho jaata hai, Alag alag IP Address ki jarurat hoti hai. Jab koi website ke liye hosting change karte hai to uska IP Address bhi change ho jaata hai. Jaise ham phone number ko apne Phone me Naam ke sath Save rakhte hai taaki hame aasani ho, To yah sab wajah se Domain Name banaya gaya.

(DNS) Domain Name System ? Ka Matlab

Ab ham baat karte hai (DNS) Domain Name System ke baare me, (DNS) kisi bhi domain ko hosting se connect karne – point karne ke liye use kiya jaata hai. Hosting me domain ko point karne ke liye hosting ke name server ko domain (DNS) ke Name Server option me update kiya jaata hai aur domain ko hosting se connect hoti hai.

Agar ek hi company se hosting aur domain dono ko buy kiya hai aur direct domain hosting select aur connect karne ka option ho to name server update karne ki jarurt nahi padti wo automatically ho jaata hai. Jab alag se connect karna ho ya Addon domain yato alag alag company se ho tab DNS me costom name server me hosting name server add karna padta hai.

Domain ko hosting – host server computer se connect karne par host server computer ka IP Address aur others Records update hote hai uske baad site create hoti hai.

Aur jab bhi koi site name type kar ke site open karta to sabse pehle > (DNS) Domain Name System ko request jaati hai uske baad > IP Address – host server computer – domain storage location aur next site ke store data me se requested publish data dikhaya jaata hai yani jis URL ko ham open karte hai uss par jo content publish hoga wo website me dikhega.

Types Of Domain

Ab ham jaate hai Domain ke prakar ke baare me yani Types Of Domain or Domain Extensions ke baar me, Har domain ka Domains Extension hota hai yani > .com .net .org .info to issi ke baare me ham jaanege.

TLD – Top Level Domain

Sabse pehle ham Generic Top Level Domain ke baare me jaante hai jo ki jyada tar use hote hai.

● com – Commercial
● org – Organization Related
● net – Network Related
● edu – Education Related
● info – Information Related

CTLD – Country Top Level Domain

Chalye ab dekhte hai Country Top Level Domain iska matlab ki based Extension, Ya country code Top Level Domain.

CCTLD – Country Code Top Level Domain

● in – India
● ca – Canada
● uk – United Kingdom – England
● us – United States – America (USA)
● id – Indonesiz
● ru – Russia
● br – Brazil

Subdomain Kya Hota Hai ?

Subdomain kisi bhi main domain ka hi ek part hai, main domain me se ham subdomain create kar sakte hai, Subdomain create karne ke liye hame koi bhi charge nahi dena padta hai keval hame main domain hi buy karni hogi.

Example Main Domain :-
● Technicalrakesh.com

Example Subdomain :-
● Creators.technicalrakesh.com

Example Main Domain : Google.com

Example Subdomain :-
● play.google.com
● mail.google.com

Friends iss post Domain Kya Hai | Domain Name Kya Hota Hai | What is Domain in Hindi se ab aapko pata chal hi gaya hoga Types Of Domains, subdomain aur uske use ke baare me to iss post me itna hi, Post se related aapko kuch batana ho to comment kare aur visit karte rahe RDN Technical site ko.

Leave A Reply

Your email address will not be published.